- Home
- Alone Status
- Aur Ye Tanhai
Aur Ye Tanhai
Bikhri Takdeer Saugaat E Ashq Aur Ye Tanhai,
Kahun Kaise Ki Mila Ishq Mein Hamen Kuchh Bhi Nahin.
बिखरी तकदीर सौगात ए अश्क और ये तन्हाई,
कहूँ कैसे कि मिला इश्क में हमें कुछ भी नहीं।
Dil Ki Lagi Mein Waqt-E-Tanhai Aisa Bhi Aata Hai,
Ki Raat Chali Jaati Hai Magar Andhere Nahin Jate.
दिल की लगी में वक़्त-ए -तन्हाई ऐसा भी आता है,
कि रात चली जाती है मगर अँधेरे नहीं जाते।
Sara Hi Shahar Tha Janaje Mein Uske Sharik,
Tanhaiyo Ke Khauf Se Jo Shakhs Mar Gaya.
सारा ही शहर था जनाजे मे उसके शरीक,
तन्हाईयो के खौफ से जो शख्स मर गया।
Usaki Tanhai Ko Lafzon Mein Kaise Bayan Karen Ham, Vo..
Rahta Dil Mein, Dhadakta Seene Mein Aur Bahta Ashq Mein Hai.
उसकी तन्हाई को लफ़्ज़ों में कैसे बयां करें हम, वो..
रहता दिल में, धड़कता सीने में और बहता अश्क में है।
Sau Baar Chaman Mahka Sau Baar Bahar Aayi,
Duniya Ki Vahi Raunak Dil Ki Vahi Tanhai.
सौ बार चमन महका सौ बार बहार आयी,
दुनिया की वही रौनक दिल की वही तन्हाई।