- Home
- Aankhein Status
- Sochti Hain Aankhein
Sochti Hain Aankhein
Zuba Unki Laakh Jhooth Kahti Rahi Hamse,
Phir Yoon Hua Ki Hamne Unki Aankhein Dekh Li.
ज़ुबा उनकी लाख झूठ कहती रही हमसे,
फिर यूँ हुआ की हमने उनकी आँखें देख ली।
Lab Kahte Hain, Ki Chalo Ab Muskuraya Jaye,
Sochti Hain Aankhein, Dil Se Daga Kaise Ki Jaye.
लब कहते हैं, कि चलो अब मुस्कुराया जाये,
सोचती हैं आँखें, दिल से दगा कैसे की जाये।
Agar Kahe To Main Apni Aankhein Bhi Unhen Dedoo,
Magar Ye Log Meri Aankhon Ke Khwab Mangte Hain.
अगर कहे तो मैं अपनी आँखें भी उन्हें देदू,
मगर ये लोग मेरी आँखों के ख्वाब मांगते हैं।
Koi Shaam Ke Waqt Aaega Lekin,
Sahar Se Ham Aankhein Bichhae Baithe Hain.
कोई शाम के वक़्त आएगा लेकिन,
सहर से हम आँखें बिछाए बैठे हैं।
Poochhne Se Pahle Hi Sulajh Jati Hain Sawalon Ki Gutthiyan,
Kuchh Aankhein Itanee Haazir Javaab Hotee Hain.
पूछने से पहले ही सुलझ जाती हैं सवालों की गुत्थियाँ,
कुछ आँखें इतनी हाज़िर जवाब होती हैं।