Two Line Status in Hindi

Kadi Dhoop Mein

Neeche Gire Sookhe Patton Par Adab Se Chalna Zara,
Kabhi Kadi Dhoop Mein Tumne Inse Hi Panah Maangi Thi.
नीचे गिरे सूखे पत्तों पर अदब से चलना ज़रा,
कभी कड़ी धूप में तुमने इनसे ही पनाह माँगी थी।

Mohalle Ke Sare Makan Bikne Lage Hain,
Kyuki Ab Bachche Bahar Rahne Lage Hain.
मोहल्ले के सारे मकान बिकने लगे हैं,
क्योंकि अब बच्चे बहार रहने लगे हैं।

Read More →

Aaina Hamen Dekh Ke

Kya Koi Nai Baat Najar Aati Hai Ham Mein,
Aaina Hamen Dekh Ke Hairaan Sa Kyon Hai.
क्या कोई नई बात नजर आती है हम में,
आइना हमें देख के हैरान सा क्यों है।

Two Line Status - Aaina Hame Dekh Ke

Takleef Mit Gayi Magar Ehsaas Rah Gaya,
Khush Hoon Ki Kuchh Na Kuchh To Mere Paas Rah Gaya.
तकलीफ मिट गयी मगर एहसास रह गया,
खुश हूँ की कुछ न कुछ तो मेरे पास रह गया।

Read More →

Ishq Ke Bajaar Mein

Keemat To Hamari Bhi Bahut Hai Janaav,
Par Ishq Ke Bajaar Mein Be Bhaav Bike Hain.
कीमत तो हमारी भी बहुत है जनाव,
पर इश्क के बाजार में बे भाव बिके हैं।

Hamare Beech Ki Ye Doori Kabhi Kam Nahin Hoti,
Kitni Bhi Ho Jaaye Baat Kabhi Poori Nahin Hoti.
हमारे बीच की ये दूरी कभी कम नहीं होती,
कितनी भी हो जाये बात कभी पूरी नहीं होती।

Baise To Har Cheez Ka Hisaab Rakhti Hoon,
Par Jo Tumse Ho Gaya Hai BeHisaab Ho Gaya Hai.
बैसे तो हर चीज़ का हिसाब रखती हूँ,
पर जो तुमसे हो गया है बे हिसाब हो गया है।

Read More →

Mohabbat Ki Takleef

Khwahishon Ko Jeb Mein Rakhkar Nikla Kijiye,
Janab Kharcha Bahut Hota Hai, Manjilon Ko Pane Mein.
ख्वाहिशों को जेब में रखकर निकला कीजिये,
जनाब खर्चा बहुत होता है, मंजिलों को पाने में।

Khwahisho Ko Jeb Mein Status

Usko Chaha To Mohabbat Ki Takleef Najar Aai,
Varna Is Mohabbat Ki Bas Tareef Suna Karte The.
उसको चाहा तो मोहब्बत की तकलीफ नजर आई,
वरना इस मोहब्बत की बस तारीफ़ सुना करते थे।

Read More →

Wo Shakhs Bhi Ek Tha

Dobara Nahin Ho Sakti Mohabbat Suna Tumne
Wo Shakhs Bhi Ek Tha Aur Mera Dil Bhi Ek.
दोबारा नहीं हो सकती मोहब्बत सुना तुमने,
वो शख्स भी एक था और मेरा दिल भी एक।

Be-Kasoor Koi Nahin Is Zamaane Mein,
Bas Sabke Gunaah Pata Nahin Chalte.
बे-कसूर कोई नहीं इस ज़माने मे,
बस सबके गुनाह पता नहीं चलते।

Read More →
‹ Prev 1 2 3